
Milta Kabhi Mukammal Jahaan Nahi
Yeh Manaa Zindagi Itni Aasaan Nahi,
Aaisa Kaun Hai Jo Pareshaan Nahi,
Aaisa Kaun Hai Jo Pareshaan Nahi,
Jo Mil Jaaye Ussi Mein Khush Raho,
Milta Kabhi Mukammal Jahaan Nahi,
Milta Kabhi Mukammal Jahaan Nahi,
Likhi Hain Sab Ki Taqdeerein Usne,
Hota Kissi Ek Ka Yeh Aasmaan Nahi,
Hota Kissi Ek Ka Yeh Aasmaan Nahi,
Jalaaye Rakhna Shamaa Hausle Ki,
Haarna Kabhi Tu Aye Insaan Nahi,
Haarna Kabhi Tu Aye Insaan Nahi,
Mat Todna Yakeen Kabhi Kissi Ka,
Waqt Ki Tarah Badle Wo Imaan Nahi,
Waqt Ki Tarah Badle Wo Imaan Nahi,
Apni Baaton Ka Rakhna Maan Sada,
Chaahe Jaaye Jaan Par Zabaan Nahi,
Chaahe Jaaye Jaan Par Zabaan Nahi,
Rakh Bharosa Apne Parwardigaar Par,
Khuda Kissi Ke Gum Se Anjaan Nahi.
Khuda Kissi Ke Gum Se Anjaan Nahi.

Mohammed Quresh
No comments:
Post a Comment